Hi Tech Pc World

New Internet, Business Ideas, Business News, Technical News, CSC Help, And review in hindi

Friday, December 22, 2017

How To Buy Ripple in India, buy XRP From INR – Ripple Exchange in India

How To Buy Ripple in India, buy XRP From INR – Ripple Exchange in India


Ripple ek Real Time gross settlement system hai aur yah internet protocol par nirmit tarang dwara bheja jane wala network hai.

Bharat me bahut se tarike hai jin se aap Ripple ko ek Credit Card, Debit Card, online net Banking ka upyog karke khareed sakte hain ya aap apne Bitcoin ko Ripple me convert kar sakte hai. to ab yah Bharat me ek Ripple kharidne ki icchha par nirbhar karta hai ki aap kis madhyam se Ripple khareedte hain.

Jaisa ki aap sabhi jante hain ki aajkal Bitcoin duniya me bahut lokpriya hai aur Ethereum, Ripple, and Litecoin jaisi kai any Currencies ne Crypto duniya me apne bazar ki sthapna ki hai.

Duniya me 100 Arab (100 Billion) Coins hai jinme se 61 Billion coins to in companies ke paas hi hain.

How to Buy Ripple in India 

Chaliye niche mai aapko batata hu How to Buy Ripple in India

Jaisa ki aap jante hain ki Ripple ab 2018 mein Invest karne ke liye sabse adhik labhkari Cryptocurrencies me se ek hai. kyuki yah kisi bhi financial len-den ke liye cryptocurrency aur digital Currency dono ke roop mein work karta hai. cryptocurrency ka sabse accha part yah hai ki aap transaction charge ke bina kisi dusre desh se dusre desh mein transfer kar sakte hain.

Agar aap India se Japan paisa Transfer karna chahte hain to pahle aapko bahut hi mushkil process ka saamna karna hota tha apko pahle Indian Rs ko U.S Dollar me Convert karwana hota tha fir US Dollar ko JYP me convert karwana padta tha. aur is process me highj transaction charges ke sath 7 din ka samay bhi lagta tha. lekin Ripple coin ki madad se, aap bharat mein INR (Indian Rupees) ka upyog karke Ripple khareed sakte hain aur fir is Ripple coin ko japan bhej sakte hain. to is se ek desh se dusre desh mein currency ke bahut easy aur Instant len-den kar sakte hai.

Pahla Tarika : Buy Ripple (XRP) In India From BTCXIndia

Agar Aap India me Directly Ripple kharidna chahte hai to BtcxIndia Aapke liye sabse acche options me se ek hai. kyuki yah India me Ripple khareedne ke liye sabse trusted plateform hai. yah Plateform apko debit Card, Credit Card aur Net Banking ke madhyam se INR, USD, BTC, aur EUR se Ripple khareedne ki permission deta hai.


  • Sabse pahle, BTCXIndia ki official website par visit kare.
  • Then click on create an account option.
  • website par 2 type ke account available hai jaise Individual Account and Corporate Account.
  • Aapko individual account select karna hoga .
  • Apni sabhi Details like Name, Email, Mobile Number, City add kare aur Register button par click karen.
  • Uske baad aapko apna mobile number one-time password dwaara verify karwana hoga jo ki aapke registered mobile number par aayega.
  • verification complete hone ke baad aap apne account me log in kar sakte hai.
  • Ab Email address, Client ID fill karke Submit kare aur generate dynamic access code par click kare. aapke Email Id par ek dynamic access code milega.
  • Access code ko specified box me Submit karen aur secure login button par click kare.
  • next window me, Aapko kyc process complete Karna padega iske liye Name of Applicant, Father name, Gender, Marital Status, Date of Birth, Nationality, PAN number, Aadhaar number and upload proof of identity lagega.
  • Uske baad next button par click kare. Fir aapko btcxIndia ki taraf se ek confirmation email aayega yadi aapka account verified ho gaya to.
  • ab apna btcxIndia login karen aur home page par jaye.
  • Yaha wallet option par click kare aur apna deposit details like amount, beneficiary bank, type of transaction, transaction reference number enter kare aur submit button par click kare.
  • Aapka amount btcxIndia  Wallet me aa jayega Fir aap is se XRP (Ripple ) ko India me khareed payenge.
  • XRP Khareedne ke liye , trade button par click kare aur Kitna XRP aap khareedna chahte hai enter kare fir buy button par click kare.
  • Fir confirm button par click kare aur aapko aapke account me XRP Mil Jayega.

Teesra Tarika : Buy Ripple (XRP) from Online Exchanges

Ripple ke liye direct koi Wallet abhi india me start nahi hua hai, India me bahut saare aise exchanges hain, Jaha se aap ripple ki trading kar sakte hain, In future sambhavna hai ki Bitcoin ki tarah Ripple ke liye bhi wallet start kiye jaye. bahut si inhouse wallet companiyo ne is par kaam bhi start kar diya hai.

Abhi Aap in Exchangs me se XRP Trading kar sakte hain :

1- IQ Option
2- Expert Option
3- Olymp Trade 

Teesra Tarika : Buy Ripple (XRP) In India From BTCXIndia

Use Hardware wallet Ledger Nano S 

Agar Aap Ripple ko khareed kar lambe time ke liye rakhna chahte hain to aap Ledger Nano S Hardware wallet me rakhe is se aapka coin ekdum safe rahega kyuki agar aap kisi website se khareedte hain to agar wo website kabhi hack ho jaye to aapka paisa doob jayega. 

Ledger Nano S ek hardware Wallet hai jisne haal hi me XRP ke liye Support add kiya hai.

ek hardware wallet hone ke sath sath yah apke Cryptocurrencies ko store karne ka sabse accha tarika hai kyuki yah kadi suraksha pradan karata hai, use karne mein abhi asani hoti hai, aur aap ise apne saath kahi bhi le ja sakte hain.

Mai Aapko personally Ledger Nano S recommend karta hu kyuki yah bahut si famous Cryptocurrencies ka support karta hai:

Dash, BTC, ETH/ETC, Stratis, Zcash, and now it supports XRP.

Ledger Nano S - The secure hardware wallet
Aap ise iski Official Website ke dwara Order kar sakte hain Yah aapke address par 4-7 din me deliver ho jayega.
NOTE: Don’t forget to write down the recovery key on a piece of paper & save it in a safe place. In case you ever forget your password, this is the only way to recover your XRP wallet.

5th Tarika : In House wallets

Aap XRP ke liye in House Wallets ka use bhi kar sakte hain lekin jaisa ki maine upar post me bataya hai abhi koi wallet India me XRP support nahi kar rahe hain  nicke kuch wallets ke link diye gaye hai jinme jald hi XRP add hone wali hain aap unko Use kar sakte hain.

1- Unocoin.

Bahut zald Unocoin me XRP Features Support add hone wala hai fir aap usme XRP Store kar sakenge. Abhi Download kare aur Signup karte time refferal Code me U442872 Daale, Signup Bonus Rs. 10 Paytm Cash Milega.

2- Coinbase.

3- Zebpay.
Zebpay me Abhi only Bitcoin hi support karta hai lekin kuch dino me XRP bhi add hone wala hai Aap isko bhi download kar sakte hain . refferel code "REF38874667" Use karne par aapko Rs. 100 ka free BTC milega.



GENERAL RISK WARNING:


Is post ke Dwaara Batayi jane wali financial service High level ki jokhim se bhare hue hote hain aur result ke taur par apke paiso ka bhari matra me nuksaan ho sakta hai, please aap utne hi paise invest Karen jitney aap afford kar sakte hain ya loss hone par aapko koi nuksaan na ho.



Agar aapko is bare me jyaada jaankari nahi hai to pahle iski details acchi tarah se prapt kare fir isme invest kar sakte hain.

No comments:

Post a Comment