Hi Tech Pc World

New Internet, Business Ideas, Business News, Technical News, CSC Help, And review in hindi

Sunday, December 24, 2017

Become Paytm Payments Bank BC Agent and Earn Money

Become Paytm Payments Bank BC Agent and Earn Money.

Agar Aap Koi Mobile Shop ya Internet Cafe chala rahe hai aur ek acche income ke liye kisi bank ki franchise lena chahte hai lekin wah franchise aapko mahangi mil rahi hai to jyada udash hone ki jaroorat nahi hai. 

RBI ne Paytm ko Payment Bank opareting ke liye Licence de diya hai Paytm payments bank Technology par aadharit ek bank hai jo customers ke liye puri tarah se nayi aur suvidhajanak banking anubhav ko saksham banata hai.



Janiye Kya hai Paytm Payments Bank BC Agent?

Paytm payments bank apne customers ke sath Paytm paymentsbank BC agents ke naam se apni banking ki sevao  ka vistaar kar raha hai, yah agent customers ke liye paytm Payment bank ka chehra honge aur bank ke financial products ke baare me jagrukta failane ke liye jimmedaar honge.

BC agent Naye Saving account kholenge aur Cash Deposite / cash Withdrawl ki suvidha bhi praapt karwayenge.

Kaun ban Sakte Hain Paytm Payments Bank BC Agent?

Koi bhi individual , Retired bank emloyee, Retired Teacher, retired government employees and ex-servicemen, individual owners of kirana / medical / fair Price shops jo banko ke sath jude huye haim (Onlinetransactions karna Jaante hai) Paytm Payments bank ke liye apply kar sakte hain.

How can I become a Paytm Payments Bank BC Agent?

BC Agent banne ka bahut hi Aasan sa process hai aapko sirf yah teen steps follow karna padega :

  1. BC Agent banne ke liye sabse pahle Paytm Payments bank ki official website par Apna application form bhare (Click Here To Fill the form)
  2. Paytm ki taraf se confirmation ke liye call aayegi ki aap sachme interested hai ya sirf maze lene ke liye form bhar diya tha.
  3. Confirmation call aa jane ke baad aapke Shop ya address par Paytm ke employe (Field Executive) aayenge jo ki aapko Paytm Payments bank bc ke liye Onboard karenge.

BC Agents ke liye Earning ke kya kya mauke hain?

Ek bc agent ko Paytm payments bank me customers ka account khulwane, cash jama karne se lekar cash nikalne par bhi Paytm payments bank ki taraf se accha commission diya jayega (Kitna commission milega abhi confirmation nahi aayi hai). Is par adhik jaankari ke liye aap Paytm paymentsbank Helpline 0120-33663377 par call kar sakte hai. (Standard call rates will be charges as per operators tarrif plan)

BC agent banne ke liye Kitna investment karna padega?  

Bc agent banne ke liye aapko koi kharcha nahi karna padega aapke paar keval niche diye gaye 3 chizo ki zaroorat padegi.

  • Android smartphone with internet connectivity. 
  • Biomatrics device (Fingerprint device). 
  • Customers kwe len-den ko suvidhajanak banane ke liye aapko kuch cash 10000-20000 rupay hamesha apne paas rakhna hoga baaki aap customers ke paise se hi transactions kar sakte hain. Lekin fir bhi aapko apne wallet me minimum 10000 to rakhne hi chahiye jis se aapke customers ko turant service provide karwa sake is se wah customer aur bhi customers ko aapke center ya shop par layenge. 

Paytm Payments Bank BC agent Kya kya services offer kar sakte hai?  

As a BC Agent aap apne customers ko yaha niche likhe services offer kar sakte hain.
  • Open saving bank Account of customers.
  • Cash deposit aur withdrawl suvidha de sakte hain.
  • Othe Financial Services offer kar sakte hain jaise Finance, Loan, Mutual Fund, aur bhi aise kai saare 3rd party products, jaisa ki sabhi banks ke BC agents ko kaam diya jaata hai waise hi aapko bhi karna hoga.


Agar aap Bhi Koi shop Chala rahe hai aur acchi kamai karna chahte hai to Paytm Payments Bank BC agent ke liye jaroor apply kare.

No comments:

Post a Comment